Ramzan Kareem Ki Fazeelat | Rozedar Ko Milne Wala Inaam In Urdu/Hindi

 

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ 

Ramzan Kareem Ki Fazeelat  Aur Rozedar Ko Milne Wala Inaam

Allah ke Naam se Shuru jo nihayat maherbaan aur rahem wala hai.

Tamam tareefe uss Allah Azawazzal ke liye jo tamam zahaano ko banana wala aur usey palney wala hai aur Durood-o-Salaam ho uske aakhri Nabi-e-Kareem (ï·º) par.



• Ramzan ki Ahmiyat kya hai ?

Sabse pehli baat ke “Kisi cheez ki agar hume Ahmiyat na maloom ho tou fir uska fayda bhi hum nahi utha patey hai.” aur dusri baat ke “kisi cheez ke agar Masail maloom na ho tou uska sahi istemaal bhi hum nahi kar patey hai.”

Usi tarha agar hum “Ramzan” ke Fazail nahi jaan sakenge tou uski Ahmiyat nahi jaan sakenge aur uske Masail nahi janenge tou uska sahih fayda bhu hum nahi utha payenge.

Tou wo Mahina jo Humpar aanewala hai uski kya Ahmiyat hai, uske kya fazail hai In sha Allah is unwan me hum aapki khidmat me mukhtasar sa rakhne ki koshish karenge.

Aayiye Nabi-e-Kareem (ï·º) aur Sahaba ke liye Ramzan kaise hua karte they wo jaan letey hai, wohi asal mayar(criteria) hai humare liye.

Nabi-e-Kareem (ï·º) aur Sahaba ke liye Ramzan ki Ahmiyat kya thi ?

Aahadees me aata hai ke Jo hi Ramzan ka Mahina qareeb aata tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) kamarbasta ho jatey” [Sahih Bukhari , Vol 3, 2024]

Yaani tayyar ho jatey, Sadqe aur khairaat ke liye, Rozo ke liye, Qiamullail ke liye, Zikr-O-Azkar ke liye, Tilawatey Quraan me Ijaafe ke liye tayyar ho jatey.

Har kism ki Ibadati tayyari Aap (ï·º) ki aur Sahaba ki hoti thi. Jab Ramzan aa raha hai tou unki Zehno me ibadatey ghum rahi hai ke kaise Mere Roze mukammil ho khusu aur khuju ke saath, koi kami na aaye mere Rozon me.

Isi tayyariyo me Sahaba lag gaye, Nabi-e-Karam (ï·º) lag gaye, Ummaha-Tul-Mominin lag gaye, Sahabiyat lag gayi. pura mu’ashra isi tayyari me laga ke Ramzan me kaisi ibadate ho, kaise mai jyada se jyada ibadatey karu. Ye thi unki tayyari.

Kitna fark hai humari aur unki tayyariyo me ?

  • Humari tayyario me siway Duniya ke aur kuch bhi nahi aur unki tayyariyo me siway Aakhirat ke aur kuch bhi nahi.

Tou ye ek mousam aa raha hai hum par, ek behtareen mouka hume mil raha hai, ek jabardast mahina aa raha Hai.

Lekin ye bohot hi afsos ki baat hai ke is mahine ki aamad par siwaye duniya ke humare zehno me kuch bhi nahi aata.

Aisa kyu hua ? kyu humne Ramzan ki asal ahmiyat nahi jaani ?

Isiliye kyunki humne Ramzan ka asal maksad, iski ahmiyat , iski fazilat aur masail ki hakikat ko jan’na jaruri na samjha! jiski wajah se haq dhire dhire humari zindagiyo se faramosh hota gaya sur jahalat hum par aati rahi.


• Roze ka Asal Maksad kya hai ?

Allah Rabbul Izzat Qurane Kareem me farmata hai:

“Aye Emaan walo tum par Roze farz kiye gaye, jaise tumse pichli Ummato par humne farz kiye they ta’ake kahi tum Taqwa(Parhezgaari) ikhtiyar karo.” [Surah Baqrah 2:183]

Tou Taqwa Roze ka maksad hai, Taqwa Ramzan ka asal maksad hai, Taqwa Roze ka paigaam hai, Taqwa Ramzan ka paigaam hai.

Aur Allah Rabbul Izzat ne baar-baar is paigaam ko dohraya aur kaha: “Aye wo logo jo imaan laye ho Taqwa (Parhezgaari) ikhiyar karo” aur ye aayat Quraan me baar–baar repeat hui hai.

Tou gour karne wali baat hai ke Taqwa yaani Allah ka darr jo ki bohot hi Ahmiyat waali baat hai jiska paigam hume diya gaya.

Isiliye Kyunki: Allah ka darr jab insan me aa jata hai tou Insan Haram aur Halal ki tameez karne lagta hai, Deeno Shariyat aur Duniyawi fizul kaamo me fark karne lagta hai, Duniya par Aakhirat ko tarzi deney lagta hai, dhokeybazi, jhooth, Zina, Sharab, juwa aur tamam buri khaslato se ahtiyat karta hai.

Tou In sha Allah-Ul-Azeez! is Unwan me hum Ramzan ki Ahmiyat aur Fazilat ke taaluk se mukhtasar sa bayan karne ki koshish karenge. Baraye meharbani isey jyada se jyada share karne me humara tawoon farmaye.

 

Ramzan ki Fazilat kya hai ?

Ramzan Kareem Ki Fazeelat  Aur Rozedar Ko Milne Wala Inaam


Waise tou Ramzan ki fazilatey beshumar hai lekin tamam fazilatey iss Mukhtasar se Unwan me ginwana humare liye mushkil hai, lihaja chand aham fazilato ka hi zikr karne wale hai.

1. Ramzan ke Mahine ko Allah ne Farz Ibadat ke liye Muntakhib kiya:

Tou sabse pehli ahmiyat iss Mahine Ramzan ki ye hai ke Allah Rabbul Izzat ne iss Mahine ko apni farz ibadat yaani “Roze” ke liye intekhab kiya. bus yahi samjhne ke liye kaafi hai ke iski fazilat kya hai ?

۞ Hadees:  Hazrate Abdullah bin Umar (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, Rasool’Allah ï·º ne farmaya “Islaam ke sutoon paanch (5) hai.”
(1). Pehla Ye ke Allah hi ki Ibadat ki jaye aur uske siwa tamaam jhoote khudao ka inkaar kiya jaye,
(2). Namaaz parhna,
(3). Zakaat dena,
(4). Baitullah ka Hajj karna, aur
(5). Ramzan ke Roze rakhna.

– Sahih Muslim Sharif

Tou Islam me asal 5 Faraiz ibadat hai jisme se “Roza” bhi ek farz ibadat hai aur isi ibadat (Roze) ke liye Allah Rabbul Izzat ne iss mahine (Ramzan) ka intekhab kiya yehi ek badi aham Fazilat hai.

Tou hume chahiye ke iss farz ibadat ko Khushu aur Khuju ke sath takmeel tak pohchaye taa’ki ye jeddo jehad humare liye bayase maghfirat ho.

♥ In sha Allah ul Azeez! Allah Ta’ala hume kehne sun’ne se jyada amal ki taufiq dey!

 

 

2. Nuzul-e-Quraan ke liye iss Mahine ka Intekhab kiya:

Iski dusri sabse badi fazilat ye hai ke Allah Rabbul Izzat ne iss Mahine ka Intekhab apni aakhri kitab Qurane Majid ko nazil karne ke liye kiya.

Andaza lagaiye kitni aham baat hai ye ke ‘Allah Rabbul Izzat ne apna aakhri qalam utara, jiske talluk se Allah Taala ne Quraan hi me bayan farmaya ke “Ramzan ka wo Mahina jis me Quraan ka Nuzool hua saari Insaniyat ki Hidayat aur Rahnumai ke liye.” [2:185]

Isiliye Ramzan ka Mahina Quraan ka Mahina bhi kehlata hai aur Nabi-e-Karam (Sallallahu Alaihay Wasallam) ka Mamool tha ke har Ramzan Aap ek Quraan ki tilawat mukammil kartey they.

Tarawih me Quraan pura karna acchi baat hai, lekin Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) tilawat bhi karte they. tou koshish karey ki hum bhi ek Quraan pura tilawat karey har Ramzan. In sha Allah ul Azeez.

Quraan Kis Zuban me Padhe?

Ab kyunki humari Zaban arbi nahi hai tou hum koshish ye karey ki har Ramzan ek Quraan tarjume se padhe, kum-se-kum Saal me ek baar tou pata chale ke humara Rab humse kya chahta hai.

Aur Ramzan se baad tak agley Ramzan tak ek Tafseer padh Ley. Tafseer ka fayda ye hoga ke unn Aayato ke Ahqamat kaise hai ?, Unki gehrayiya kya hai ?, unki hiqmtey kya hai ?,  Nabi-e-Karam (ï·º) aur Sahaba ke Aqwal kya hai iske andar ye sab jan’ne ke liye Mufasareen ki tafseer padhiye.

Agar aisa mamool hum bana ley tou andaza lagaiye ilm me kya ijafa hoga humare, jehan bhi khulega, amal me pukhtagi bhi aayegi aur in sha Allah Ul Azeez hum mazboot Momin banenge.

Tou koshish karey ke Ramzan me ek tarjume se Quraan padhu aur baad Ramzan saal bhar ek tafseer padhu aur uss se apne ilm me ijafa karu.


3. Iss Mahine Nekiya karna aasan ho jaata hai:

۞ Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya –

“Ramzan ka Mahina jo hi aata hai Jannat ke tamam Darwaze khol diye jaatey hai, hatta ke ek bhi band nahi rehta aur Jahannum ke tamam darwaze band kar diye jaatey hai hatta ke ek bhi khula nahi rehta aur tamam Sirkash Jinn aur Shayateen Qaid kar liye jaatey hai…”  [Sahih Muslim]

… Subhan’Allah kya fazilat hai is Mahine ki zara gour kijiye.

Accha yaha aap ek aur baat bhi soch saktey hai ke abhi Jannat me koun haya hai aur Jahannum me koun ? wo sab tou Qayamat ke baad jayenge. tou kyu Jannat aur Jahannum ka tazkira hadees me aa raha hai ?

Darhakikat ye Jannat ke Darwaze kholna aur Jahannum ke darwaze band karna ye ek alamat hai, ye ek ishara hai ke “Iss Mahine apne Rab ki Ita’at kar ke apni Magfirat haasil karwa lo, Aam hai Magfirat …”

Aur Jahannum ke Darwaze band kar diye hai Allah ne is Mahine ‘Yaani Allah Ta’ala elaan kar raha hai ke apni Masiat se rook jao, Mujhse Taubah kar lo, dekho band kar liya hai Humne Jahannum ko.”

Tou is Hadees me alaamat bayan farmayi Allah ke Rasool (ï·º) ne ke is Mahine aasan hai neki ka karna.

Lihaja apne Masiyat apne Gunaaho se sacchi aur pakki Taubah kar ke Rab ki Rehmato ka Mustahiq hone wala azeem mahina hai ye.

4. Ramzan ka Umrah Hajj ke barabar sawab deta hai:

۞ Hadees: Hazrate Ibne Abbas (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (ï·º) ne ek Ansari Sahabiya se farmaya “Ramzan Ke Mahine Me Umrah Karna Hajj Ke Barabar Hai.” [ Sunan Nasaii, Vol2, 21 – Sahih ]

Subhan’Allah! Gour karne wali baat hai ke Ramzan ka Umraah Hajj ke barabar sawab deta hai. lekin yaad rahe ye Hajj ko saaket nahi karta. Hajj ko Exceptional nahi kar deta ke Hajj ke badle ab hum Umrah hi karenge. aisa bilkul bhi nahi hai, lekin uske barabar ajar aur sawab deta hai.

Tou Allah Ta’ala ne jisko maalo doulat ke fazl se nawaza ho wo jarur is mahine me Umrah ki koshish karey.


Ramzan Kareem Ki Fazeelat  Aur Rozedar Ko Milne Wala Inaam



5. Roza aur Quraan Sifarshi ban’ne wale hai:

Har shakhs chahta hai ke apne Aamal ke alawa bhi mai kuch aisa karu zindagi me ki meri Shifarish ho Qayamat ke din. Fir chahe Nabi ki Shifarish ho, Chahe Sahaba ki Sifarish ho, Chahe Allah ke Waliyo ki Sifarish ho. har Shakhs apne liye Allah ko Razi karne ki Sifarish ki Jeddo Jehad me laga rehta hai.

Aayiye ek Jayaz Sifarish par gour karte hai.

۞ Hadees: me aata hai ke RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai ke “Qayamat ke din Roza aur Quraan sifarish karnege uspe amal karnewale ke haq me.” aur Roza aakar kahega ke “Aye Allah ! ye Shakhs meri Khaatir Khane-Piney se aur Shehwat se rukta raha. lihaja meri sifarish iskey haq me kabool kar.” aur Aap (Sallallahu alaihay wasallam) ne aagey farmaya ke: “i

 

6. Roze ka Ajar aur Sawab be’hisaab hai:

۞ Hadith: Ek riwayat me Rasool’Allah (ï·º) farmatey hai ke:

Roza Dozakh (Hell) se bachne ke liye ek dhaal hai isliye (jo Rozedar ho) wo na tou Biwi se Humbistari karey aur na fahash (Buri) aur jahalat ki batein kare aur agar koi shakhs uss se ladey ya usey gaali de tou uske jawaab me sirf ye kehna chaahiye ki mai rozedar hun.”

Uss jaat ki Qasam jiske haath me meri jaan hai, Rozedar ke munh ki bu Allah ke nazdeek mushk ki khushbu se bhi zyada pasandeeda aur pakeeza hai.

(Allah farmata hai) banda apna khana peena aur apni Shahwat mere liye chorrta hai, Roza mere liye hai aur mai hi iska badla dunga aur Nekiyon ka sawaab bhi asal neki ke 10 gunaa hota hai” (dusri hadeeso me 70 guna bhi aaya hai).

– Sahih Bukhari, Vol 3, Hadith 1894


7. Rozedaar ke liye Jannat me khaas darwaze se Istekhbaal:

۞ Hadith: Hazrate Sahal Ibne Saad (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke,
Rasool’Allah (ï·º) farmate hain: “Jannat ke 8 darwaze hain, unmey ek darwaze ka naam ‘Raiyyan’ hai, uss darwaaze se wohi jaayenge, jo roze rakhte hain.” 
[ Sahih Bukhari, Vol 3, 1896]

SubhanAllah! ek special darwaza rakhna alamat aur ailaan hai ke Allah ke paas badi Ahmiyat hai Rozedaro ki, isey mamuli mat samjhiye. tou andaza lagayiye roze rakhne walo ki kitni ahmiyat hai ke inkey istekhbaal ke liye khas intezam farmaya hai Allah Rabbul Izzat ne. Subhan’Allah !!

 

Ramzan Kareem Ki Fazeelat  Aur Rozedar Ko Milne Wala Inaam


8. Ramzan ke Mahine me Allah har raat logon ko Jahannum se aazad karta hai:

۞ Hadith: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmate hain ke “Allah Rabbul Izzat Ramzan ki har Raat logon ko Jahannum se Aazad karta hai.” [Muslim Sharif]

 

yaani wo log jo Jahannumi aamal kartey they jo burey log they, is mahine acche aamal kar ke apne Rab ko raazi kar letey hai aur raazi kar ke apne aap ko Jahannum se bacha letey hai aur unka rab muaf kar deta hai unhe.

Matlab ye mahina Magfirat ka mahina hai tou acche aamal kar ke jannat haasil kar lo apne rabb se yahi Eilaan hai iska.


9. Rozedaar ka Shumaar Shohda aur Swaleheen me hoga

۞ Hadith: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke paas ek shakhs aaya aur kaha ke:
“Aye Allah ke Rasool! Agar Mai gawahi du ke Allah ke siwa koi mabood barhaq nahi aur Namaz qayam karu aur Roza rakhu tou mera hisab kin logon ke sath hoga ?”.  Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya ke “Agar tu yeh 3 kaam par add jaye tou tera hisab Shohda aur Swaleheen ke sath hoga” [
Ibne Hiban]

* * * * *

Beharhaal ye chand Fazail they jo humne aapki khidmat me mukhtasar sa rakhne ki koshish ki.

Aakhir me Allah se Dua hai ke Allah Ta’ala hume kehne sun’ne se jyada Amal ki taufik ata farmaye ,
* Hum tamam ko aaneywale Tamzan ko sahih tareeke se manaane ki taufiq dey,
* iss Ramzan ko humari Zindagiyo ko tabdil karne wala bana dey,
* iss ramzan ka sahi fayda aur taqwa ikhtiyar karne ki allah rabbul izzat hume taufiq dey,
* jab tak hume zinda rakhey islam aur imaan par zinda rakhey.
* khatma humara imaan par ho.

Post a Comment

0 Comments